parinay: "dil ki baat suna gaya koi , zamane ke samane " ...
Paddy: anjaane mein izhaar-e-haal kar baittha koi zamane ke saamne
Vaibhawi: ab tum dono chup nahi baithe to bahut kuchh hoga zamane ke saamne
fir humse mat kehna ki kuchh lihaz nahi kiya hamara zamane ke saamne
parinay: kisi ki saath ne hai ye kya jadu kar diya, ek patthar me bhi shayri ka tufan khada kar diya , zamaane ke saamne
Vaibhawi: kisike saath ka asar nahi , ye to mausam ka hai jaadu, jo humne itna sab keh diya zamane ke saamne
Paddy: mausamon ki khata nahin dil nadaan hai... na jaane kya keh gaya....zamane ke saamane
is dil ko kya khabar thi ki koi aayega...dil yun chura le jaayega... zamane ke saamne
Vaibhawi: sab kehte hai ki hum hai patthar dil, par itna nahi samazte ki hum kaise kehde sab zamane ke saamne
Paddy : arrey ishq kabhi chupta nahin kisi se.. keh aaj khuli awaz mein... phir chahe yeh baat kahi ... khopche mein.... ya zamanae ke saamne
Vaibhawi : maante hai ke ishq chhupta nahi chhupane se, par sabhi baate nahi kehte zamane ke saamne
parinay: zamane ke lihaaj ye to bahane ye dil ke, baat kehne ke aur bhi tarike hain , zammane ke saamne
Paddy: izhaar ke baad kehte ki sharam aati hai kehne mein... haay kya ada hai.. qatl kar ke sharmana.. zamane ke saamne
Vaibhawi : ilzaam sab lagaate hai qatil hone ka hum pe, par kabhi qatl hamara bhi hua hai.. zamane ke saamne
parinay: qtla kar ke chale , aur nishan bhi na rahan, bechain hum rahe , zamane ke ....
hum bhi hai, tum bhi ho , aame samne , zamane ke ....
Paddy: kehna to chahate the bahut kuch, par keh na sake hum, bhala kaun sunta is dil ki...zamane ke saamne...
dil mein yahii ek baat liye, guzar jaayenge is jahan se hum, niklegi humari miayyat.... zamane ke saamne
testing karte karte kat rahi hai umr saari, kya kabhi jaan paayenge woh haal humara, kya kabhi tokengi woh humein... zamaane ke saamne
ijaazat ho to ek khata aaj kar doon, apne dil ka haal mein keh doon, kya sun paayegi tum mera ijhaar... zamane ke saamne
Vaibhawi: hamesha muskuraate rahiyega yehi dua karke rukhsat karte hai abhi zamanae ke saamne
Paddy : dil ki baat kehne jab chal pade hum unki or... muskura ke woh bhi utthi... bye bye keh ke chal diye.. zamane ke saamne
parinay: testplan , test execution me mazruuf hum reh gaye, kambakht duniyaa ezhaar kar nikalgayi , hum dekhte rahe gaye , zamane ke ....
Vaibhawi: haale-dil ka fasana nigahonse keh dijiye ,achha nahi hai izhaar zamane ke samne
Paddy : ijhaar aakhon se hi karna chahte hain hum, dil ka zariya karna chahte hain inhe hum....par jab bhi yeh chashm utthe tumhaari or.. yeh saala pari aa gaya... zamaane ke saamne
Vaibhawi : gustakh badi hai nigahen aapki, dekhti rehti hain hume zamane ke saamne
parinay : himmat khud juta nahi pate, badnaam hume kar rakha hai, aapke ghar ka number hum bhi rakh te hain , keh de gar hai kehna zamane ke saaamne.... .
Paddy : noor ho tum zindagi ka, roshani ho is jahaan ki.. yeh kambakht aankhein bhi ujala doondhta hai... zamane ke saamane
saale kutte kamine... K3G.. aisi hi kuchh gaaliyan tumhe milengi for sure... zamane ke saamne
Vaibhawi : noor aapse hai, roshni aapki mohabbat se, warna hum kaha itne mashhoor hai zamane ke saamne
parinay : himmat to hum bhi kar de , jubaan ka saath baki hai, dil bechain hai kafi, ankhon me nami kafi hai, gustakhi to ye honi hai , zamane ke samane ....
Vaibhawi : yeh kehte hue rukhsat karte hai hum, ki agle janam milenge .. zamane ke saamne
Paddy: na jo aap ne keh di.. marhi jaayenge hum, aap ki haan pe bhi jaan nikal jaayegi khushi se .. zamanae ke saamne
is janam mein saath ki gujarish hai agle janam ki nahin, agla janam is already booked... zamanae ke saamne
Vaibhawi: hamara haal bhi kuchh aisa hi hai janab, isiliye kehnse bhi darte hai hum zamane ke saamne
parinay : bas hum hi baithe hai entzaar me kyonki , janam khali pade hai humaare,, tanhayee me nikal jeyga fasana, zamane ke ,,,
Paddy: uff yeh zaalim duniya.. dil tod hi diya... ab lagta hai kisi aur ko hi propose karna padega... zamane ke saamne
parinay: all the best kehte hain aapko, kyonki dande to padege, kabhi isse kabhi usse , zamane ke ....
Paddy: gham fir bhi reh jaayega... ki jin pe jaan dete hain hain, kabhi unhone qatl nahin kiya... zamane ...
Vaibhawi: aapki baatone hume ghayal kar diya hai, nikal aaya dil ka dard zamane ke saamne
parinay : ooooff dard ki baat ho to sambhal nahi paate, juban se baiir hai , warana keh hi dete . zamane ke ...
Paddy: chaliye ab keh bhi dijiye... sharmana kaisa.... keh dijiye ki aap ko pyar hai ... zamane ke saamne...
kya humne kahin se sunaaa...."chhiiiiiiiiii".. zamane ke saamne?
Vaibhawi: ab bas kijiye shayari ka fasana, warna niklega hamara janaza zamane ke saamne
Paddy: dekh lijye... nikla jo aap ka janaza, qabr humari bhi khudegi.... khul ke hongi humare pyar ki baatein fir.. zamane ke saamane
Vaibhawi: bas isi baat ka to hai intezaar, fir hum bhi kar denge izhaar zamane ke saamne