chalo aaj kuch naya kar jaayein
roz jalta hai din suraj ki kirano se
roz sulagta hai dil gham ki lau mein
kyun na aaj kuch naya kar jaayein,
chalo... aaj raat chaand jalayein
koodein chaand ke upar se
tod laayein kuch sitaare hum
banaayein kuch naye aakaar aasmaan par
chalo dil mein soye bachhe ko jagayein
baatein karein taaron se
baatein karein in andhiyaaron se
aankhein thak gayi hain rote rote
chalo unhe aaj lori sunaayein
raat ke sannate mein bhi ek baat hai
uski khaamoshi mein bhi kuch alfaaz hai
roj karte hain jhooti ummeedon ki baatein
chalo aaj khaamoshi ke geet gaayein
kushi ki talaash mein khoye sab
bhool gayein hansna jaane kab
chalo kuch cheharon ko hansayein
chalo aaj kuch naya kar jaayein
No comments:
Post a Comment